ye saTh sadi ka qissa hai
ye saTh baras ki baat nahin
tariKH ne jab aankhen kholin
sab pani tha
phir pani par taswir bani
taswir zamin par phail gai
aur us par barish TuT paDi
ek bij kahin par
saTh sadi ki aahaT se bedar hua
jangal ban kar phail gaya
wahin kahin par main bhi tha
tum bhi thin
tariKH ne dastak di thi
tariKH utri thi dharti par
wo raat thi puran-mashi ki
phir dharti hi tariKH bani
tariKH koi bandar to nahin
tariKH koi chehra to nahin
tariKH to ek samundar hai
jo puran-mashi ki raaton mein
pagal ho kar phailta hai
aur sab ko baha le jata hai
tariKH koi KHamosh zamana hota hai
jo sadiyon tak mausam ki god mein sota hai
phir karwaT le kar jagta hai
aisa mujh ko
'gautam-budh' ne gyan samay samjhaya tha
aur ye to mujh se aaKHiri aadmi ne pucha tha
are miyan kis khunT chale ho
Thahro
ye saTh sadi ka qissa hai
kuchh aur nahin hai
aur mere andar to un sadiyon ki wo gunj basi hai
jo agli kitni sadiyon tak
puran-mashi ki raaton mein
aawaz banegi
ye saTh sadi ka qissa hai
kuchh aur nahin hai
mere andar saTh sadi ki gunj basi hai
main aur tum is gunj mein gyan kinare
aa kar baiTh gae the
tariKH ne jab is dharti par bisram kiya
jab qissa-go ki lori mein hum sote the
aur chiDiyon ki chahkar mein aankhen kholte the
mausam ke mizaj mein rachi hui baaton mein
amrit gholte the
yahin kahin par hum tum
'mir' aur 'mira' ke dukh dil mein album karte the
wo dukh tandur ki roTi mein pak jate the
meri aur tumhaari man
wo roTi apne dil ke tandur se lati thi
phir bhuk hamari pahle se baDh jati thi
main aur tum tariKH ke bij se phuTenge
aur 'gautam-budh' ke jangal jaisi umr mein Dhal jaenge
Nazm
TariKH ek KHamosh zamana
Asghar Nadeem Sayed