apne sine mein dabae hue lakhon shoale
shabnam o barf ke naghmat sunae main ne
zist ke nauha-e-paiham se chura kar aankhen
git jo ga na sake koi wo gae main ne
aaj tashbih-o-kinayat ka dil TuT gaya
aaj main jo bhi kahunga wo haqiqat hogi
aanch lahraegi har bund se paimane ki
mere sae ko meri shakl se wahshat hogi
gham-e-dauran ne gham-e-dil ka sukun chhin liya
ab tere pyar mein bhi pyar ke andaz nahin
shauq ke qila-e-tarik mein hai sannaTa
koi aawaz nahin koi bhi aawaz nahin
kaise samjhaun ki ulfat hi nahin hasil-e-umr
hasil-e-umr is ulfat ka mudawa bhi to hai
zindagi hasrat-e-KHas-KHana-o-barfab sahi
kuchh dahakte hue shoalon ki tamanna bhi to hai
tu mera KHwab hai aadarsh hai lekin mujh ko
tere is qasr-e-tarab-nak se jaana hoga
aag aur KHun ugalte hue sayyare ko
phir tera qasr-e-tarab-nak banana hoga
Nazm
Tamir
Mustafa Zaidi