KHamosh hain sahiban-e-munsif
hairan hain rahbaran-e-muKHlis
lashon ka koi watan nahin hai
murdon ki koi zaban nahin hai
ujDe hue ghar ki KHamushi mein
nauhe ki nidaen ek si hain
matam ka hai lahja ek jaisa
rone ki sadaen ek si hain
aankhon ki siyahiyan hain maddham
palkon ki qalam hai para-para
KHunab hua hai mushaf-e-ruKH
honTon ke hain daere shikasta
chehre ki kitab ke waraq par!
zaKHmon ne jo hashiye likhe hain
in sab ki zaban hai ek jaisi
wo sab ki samajh mein aa gae hain
ek pal ke liye shab-e-alam mein
chamkenge tasalliyon ke aansu
kuchh der darida-damanon mein!
mahkegi sataishon ki KHushbu
phir KHak ki jild mein chhupega
tamil-e-wafa ka ahd-nama!
mil jaengi warison ko yaaden
ho jaega qafila rawana
Nazm
Tamil-e-wafa ka ahd-nama
Zehra Nigaah