baras bhar ki KHushi ke hum ne kuchh naqshe banae the
bhare the un mein kaise kaise dil-kash rang
abhi wo rang sukhe bhi na the barish ne aa ghera
wo naqshe ho gae bad-rang
kahan se yak-ba-yak barse ye patthar
ki KHwabon ki har ek khiDki ke shishe chur kar Dale
kahan se tezi-o-tundi bhari ye shoalagi aai
ki jis ne aarzu o shauq ki zanjir pighlai
abhi to aarzu-e-wasl ne donon dilon mein ghar basaya tha
abhi is hijr ke Dar ne use be-daKHl kar Dala
abhi aazadi-e-jism-o-dil-o-jaan ka tarana hum ne chheDa tha
abhi kas ne tumhaare dil pe phir phunka wahi mantar
ki tum insan nahin ho ek samaji jaanwar ho tum
tumhein rasmon ka qanunon ka bhaari bojh Dhona hai
numaish ke kasi rishte ki KHatir hansna rona hai
na insan ho na haiwan ho samaji jaanwar ho tum
samaji jaanwar ho tum
Nazm
Talluq toDne wale
Ameeq Hanafi