bahut ghaur-o-KHauz ke baad bil-aKHir
talash KHatm kar di gai
is makan ki chobi siDhiyon ke
nisf daere par
jo hamari samt ka aaKHiri hissa bataya gaya hai
aur qali kar di gai
un tamam diwar-gir andazon par
jo hamein toD-maroD kar likhte the
alag kiye hue panw
jo kisi ajnabi raste ka hissa nahin bane
chamDe ke juton mein saint kar rakh liye gae
wo aankhen darwazon se utar kar
maKHmalin keson mein
hifazat se rakh di gai hain
jo kisi nae manzar ke frame mein puri nahin aa sakin
in par phunka gaya sehr
be-abaad gharon ko
bataur-e-zakat de diya gaya
ab un gharon se raaton ko hansne ki
jinnati aawazen aati hain
wo hath bandhe rah gae
namaz ki ibtidai rakaton mein
aur nafli ibaadaten musallon ke dilkash designon par
ungliyan pherti rah gain
aur hum jhaD-phunk kar ek KHandani talluq
apne badan ke thailon mein
sambhaal ke rakh chuke
is liye
tum hamein apni yaad-dasht ki siDhiyon se
dhakka de kar
KHud ko nae sire se rasman tamir karo
Nazm
Talluq ki na-jaez tajawuzat
Sidra Sahar Imran