tumhein malum hai taimur ki faujen jis waqt
apne dushman pe baDha karti thin
aurten pichhe raha karti thin
aur jo aalim the fazil the un insanon ka jarga sab ke
pichhe pichhe hi chala karta tha
kis liye sab ko rah-e-zist pe har gam baDhane wale
sab se pichhe hi chala karte hain
ilm mein ek hi buniyaadi kami hai warna
ilm har ek zamane mein har ek shai se taraqqi pata
aaj iqbaal ye kahta hai ki aurat hi ka shoala wo jis se yunan
hashr tak ilm-e-falatun se rahega zinda
aaj school mein college mein maqam-e-awwal
auraton ke liye maKHsus kiye jate hain
aaj angrezi paDhi jati hai jughrafiya tariKH har ek ilm yahan
aise ustad sikhata hai ki jaise hum ko
yahi malum nahin hai ki jo aalim the jo fazil the un insanon ka jarga sab se
pichhe pichhe hi baDha karta tha
aurten un se zara aage raha karti thin
aurten aaj bhi aage hi raha karti hain
aurten aaj bhi kahti hain hamare gesu
chahe bikhre hon ki ek juDe mein paband kiye baiThe hon
dekhne walon ki nakaam tamannaon ko
ek hi hath ke paband hua karte hain
wahi ek hath jo talwar ko pahlu mein liye
sab se aage hi chala karta hai
us ko kuchh ilm ki parwah nahin (aurat ki bhi parwah kya hai)
us ko kuchh ilm nahin kaise falatun pal mein
ek sharar ban ke bujha karta hai
samne to hai magar tera munawwar chehra
usi jahil ko nazar aata hai
jo ye kahta hai ki taimur ki faujen jis waqt
apne dushman pe baDha karti thin
aurten pichhe raha karti thin
aur jo aalim the jo fazil the wo ye sochte the
haar kis shaKHs ki hai jit hai kis ki chhoDo
hum bhi kin chhoTi si baaton mein ulajh baiThe hain
chalte chalte mujhe tezi se KHayal aaya hai
tera ye juDa jo khul jae bikhar jae to phir kya hoga
meri tariKH ki teri tariKH
phail kar aaj pe (aur kal pe bhi) chha jaegi
sochne wale ko ek pal mein bata jaegi
aurten pichhe agar hon bhi to aage hi raha karti hain
aur falatun ka chacha hath mein talwar liye aage baDha karta hai
lo wo juDa bhi falatun hi se kuchh kahne laga
aur raste mein use kaun milega taimur
aur wo us se kahega ki yahan kyun aai
ja mere pichhe chali ja ki tere pichhe hamesha har-dam
ilm yun rengte hi rengte baDhta jae
jaise har baat ke pichhe har baat
rengte rengte baDhti hi chali jati hai
aur har ek falatun jo sharar ban ke chamakta hai wo miT jata hai
Nazm
Talib-ilm
Meeraji