اردو हिंदी
Taj-mahal | Shaahi Shayari
taj-mahal

Nazm

Taj-mahal

Sahir Ludhianvi

;

taj tere liye ek mazhar-e-ulfat hi sahi
tujh ko is wadi-e-rangin se aqidat hi sahi

meri mahbub kahin aur mila kar mujh se
bazm-e-shahi mein gharibon ka guzar kya mani

sabt jis rah mein hon satwat-e-shahi ke nishan
us pe ulfat bhari ruhon ka safar kya mani

meri mahbub pas-e-parda-e-tashhir-e-wafa
tu ne satwat ke nishanon ko to dekha hota

murda-shahon ke maqabir se bahalne wali
apne tarik makanon ko to dekha hota

an-ginat logon ne duniya mein mohabbat ki hai
kaun kahta hai ki sadiq na the jazbe un ke

lekin un ke liye tashhir ka saman nahin
kyunki wo log bhi apni hi tarah muflis the

ye imaraat o maqabir ye fasilen ye hisar
mutlaq-ul-hukm shahanshahon ki azmat ke sutun

sina-e-dahr ke nasur hain kohna nasur
jazb hai un mein tere aur mere ajdad ka KHun

meri mahbub unhen bhi to mohabbat hogi
jin ki sannai ne baKHshi hai use shakl-e-jamil

un ke pyaron ke maqabir rahe benam-o-numud
aaj tak un pe jalai na kisi ne qindil

ye chaman-zar ye jamuna ka kinara ye mahal
ye munaqqash dar o diwar ye mehrab ye taq

ek shahanshah ne daulat ka sahaara le kar
hum gharibon ki mohabbat ka uDaya hai mazaq

meri mahbub kahin aur mila kar mujh se