dost! main dekh chuka taj-mahal
wapas chal
marmarin marmarin phulon se ubalta hira
chand ki aanch mein dahke hue simin minar
zehn-e-shaer se ye karta hua chashmak paiham
ek malika ka ziya-posh o faza-tab mazar
KHud ba-KHud phir gae nazron mein ba-andaz-e-sawal
wo jo raston pe paDe rahte hain lashon ki tarah
KHushk ho kar jo simaT jate hain be-ras aasab
dhup mein khopDiyan bajti hain tashon ki tarah
dost main dekh chuka taj-mahal
wapas chal
ye dhaDakta hua gumbad mein dil-e-shahjahan
ye dar-o-baam pe hansta hua malika ka shabab
jagmagata hai har ek tah se mazaq-e-tafriq
aur tariKH uDhati hai mohabbat ki naqab
chandni aur ye mahal aalam-e-hairat ki qasam
dudh ki nahr mein jis tarah ubaal aa jae
aise sayyah ki nazron mein khupe kya ye saman
jis ko farhad ki qismat ka KHayal aa jae
dost main dekh chuka taj-mahal
wapas chal
ye damakti hui chaukhaT ye tila-posh kalas
inhin jalwon ne diya qabr-parasti ko riwaj
mah o anjum bhi hue jate hain majbur-e-sujud
wah aaram-gah-e-malika-e-mabud-mizaj
didani qasr nahin didani taqsim hai ye
ru-e-hasti pe dhuan qabr pe raqs-e-anwar
phail jae isi rauza ka jo simTa daman
kitne jaan-dar janazon ko bhi mil jae mazar
dost main dekh chuka taj-mahal
wapas chal
Nazm
Taj-mahal
Kaifi Azmi