اردو हिंदी
Taj-mahal | Shaahi Shayari
taj-mahal

Nazm

Taj-mahal

Mahshar Badayuni

;

allah main ye taj mahal dekh raha hun
ya pahlu-e-jamuna mein kanwal dekh raha hun

ye sham ki zulfon mein simaTte hue anwar
firdaus-e-nazar taj-mahal ke dar-o-diwar

aflak se ya kahkashan TuT paDi hai
ya koi hasina hai ki be-parda khaDi hai

is KHak se phuTi hai zuleKHa ki jawani
ya chah se nikla hai koi yusuf-e-sani

gul-dasta-e-rangin kaf-e-sahil pe dhara hai
billor ka saghar hai ki sahba se bhara hai

aaghosh-e-tajalli mein nazar soi hui hai
ya sham ke zanu pe sahar soi hui hai

ya bar-lab-e-jamuna koi doshiza naha kar
baiThi hai takalluf se adaon ko chura kar

Thahri hui ya husn ke markaz pe nazar hai
ya waqt ke hathon mein gareban-e-sahar hai

ya koi bat-e-mast hai jo tair chuki hai
aa kar abhi dariya ke kinare pe ruki hai

ya nur ka Tika koi sahil ki jabin par
ya aalam-e-baala utar aaya hai zamin par

ya husn ke iqbaal ka chamka hai sitara
nikhri hui chandi hai ki Thahra hua para

hauzon ke KHazane hain ki bikhre se paDe hain
pahre pe nigahban hain ya sarw khaDe hain

ya taj qarine se abhi rakh ke zamin par
soya hai koi baadshah-e-waqt yahin par

taswir liye leta hai har hauz ka pani
goya ki jawani ke muqabil hai jawani

qudrat ne use auj diya KHak pe la ke
ye sada sa moti tha KHazane mein KHuda ke

hai taKHt to maujud sulaiman ki kami hai
jannat ka daricha to hai rizwan ki kami hai

ye gul-kada kahiye jise firdaus ka KHaka
hai dafn yahin KHak mein sarmaya wafa ka

goshe mein isi qasr ke do dil hain ham-aghosh
shoale hain magar maslahat-e-waqt se KHamosh

is KHwab mein un ko nahin KHud apni KHabar tak
ek nur uDa jata hai parwaz-e-nazar tak

nazron mein abhi tak wahi dilchasp saman hai
aankhon mein meri KHwab-gah-e-shahjaan hai