lafz aur honT ke mabain kahin
sans ulajh jati hai
tere aangan ke kisi gosha-e-nadida mein
manhani hathon se diwar pakaDti hui
ummid ki bel
apne hi gham se dahakti rahi dam dam paiham
apne hi nam se mahakti rahi mausam mausam
lafz ubharte rahe ruk ruk ke sar-e-shaKH-e-niyaz
bel ke phul kabhi rang kabhi KHushbu se
aan ki aan tere lams mein jina chahen
majas-e-zat ki tanhai mein
aur zamistan-e-KHamoshi ki giranbari mein
yahi arman raha
tu unhen chahe na chahe lekin
kabhi pal bhar ko pazirai ka izhaar kare
lamha bhar lazzat-e-shunwai se sarshaar kare
aaj is dard ki barsat ke din
bel se ek mahak uTThi hai tufan ki tarah
phul wa honTon ke manind hain har barg hai ek dida-e-giryan ki tarah
aur hawa kanp rahi hai kisi hamraaz pareshan ki tarah
kya ye betab dhaDakte hue lafz
aaj bhi teri mizha par na munawwar honge
Nazm
Taba kai
Zia Jalandhari