tu ne to mujh ko dekha hai
raat ke sahra ka wairagi
chhup ke amiltason ke pile pairahan mein
main ne tere kamre ki pichhli khiDki se tujh ko gahri nind mein hanste
karwaT lete ruThte mante dekh dekh kar akasr
apni raat guzari
tu ne to mujh ko dekha hai
main wo gunga chand hun jis se tu ne hamesha apne dil ki baat kahi hai
aaise har mauqa par main ne ye socha hai
tu ne mujhe pahchan liya hai
warna tu yun mujh se dil ki baat na kahti
tu ne to mujh ko dekha hai
main hi hawa ka wo jhonka hun jis ne akasr tere gesu uljhae hain
tere qarib aane ki KHatir main ne anekon rup banae
main baadal ban kar bhi aaya
tere shahr mein teri gali mein tere darwaze par ruk kar main ne
tujh ko aawazen din
main aaya hun
main aaya hun
tu ye aahaT sun kar ya to kamre se aangan mein aai
ya phir is darja sharmai
aangan se dalan mein bhagi
aaise har mauqa par main ne ye socha hai
tu ne mujhe pahchan liya hai
warna meri aahaT to aangan se dalan mein aaKHir yun kyun jati
ek chappal hai panw mein ek aangan mein paDi hai
kya main ab bhi yaad na aaya
tu ne jise aaina jaana wo main hi hun
meri hairani mein tu ne apne-ap ko pahron dekha
meri hairani ne tujh ko batlaya hai
tu kaisi hai!
jab bhi meri hairani ne tere husn ki shan mein koi git sunaya
tu ne meri hairani ko chum liya hai
aaise har mauqa par main ne ye socha hai
tu ne mujhe pahchan liya hai
kya tujh ko wo sabza bilkul yaad nahin hai
shabnam se bhiga wo sabza jis se tu chhup chhup kar
nange panw mili hai
jis ke ruKHsaron par tu ne apne angaron jaise ruKHsar dhare hain
main ne aaise har mauqa par ye socha hai
tu ne mujhe pahchan liya hai
warna tu mujh se milne yun chhup kar nange panw na aai!
kya main ab bhi yaad na aaya
tu ne to mujh ko dekha hai
ghairon se kya puchh rahi hai
kaun hai ye jo yun tujh ko apna kahta hai

Nazm
Taaruf
Rahi Masoom Raza