chhoD aaya hun main apna chhoTa sa ghar
taaqub karta hai wo ab mera umr bhar
jangal kinare parbaton ke tale
hari-bhari wadiyon mein
jahan bahte the barsati parnale
chhoD aaya hun main apna chhoTa sa ghar
had-e-nigah tak wo KHushnuma manzar
baadalon ki oT se pahaDi nazare
bijli ki chamak baadal ki garaj
kabhi chhat Tapakti thi to kabhi hilti thin diwaren
kitab copiyon ko sine mein chhupana
sard hawa ke jhonkon se charagh ka TimTimana
wo tera masum chehra
wo tera bhigi palkon se muskurana
wo aazmaish ki kali raaten wo imtihanon ka Dar
chhoD aaya hun main apna chhoTa sa ghar
hafize mein dafn hai jis ka ab bhi wo manzar
maTmaili si thin jis ki diwaren
surKH tha jis ka chhappar
jangle ki kamzor salaKHon se
aankhon mein aansu liye
ek laDka dekha karta tha
qaumi shah-rah ka manzar
jahan se diwana-war bason aur trakon ka karwan
bhagta dauDta rahta tha baDe shahron ki samt
han baDe shahron ki samt
jin ki KHud lapata thin samten!!
aaj chaalis sal baad wo laDka sochta hai
baDa shahr sarab hai sunahri hiran ka KHwab hai
baDe shahr ki chah mein dauDte dauDte
wo be-samt be-manzar be-ghar ho gaya hai
lekin phir kabhi kabhi use ehsas hota hai
us ki bhi apni asas hai
us ka suhana manzar is ke pas hai
us ka bhi apna ghar hai
wo chhoTa sa ghar wo maTmaili diwaren
wo surKH chhappar
jahan aashna nigahen
jahan mohabbat-amez bahen
aaj bhi us ka intizar kar rahi hain
is shahr ko chhoD kar ek din wo chala jaega
wahan se phir kabhi kahin bhi nahin jaega
Nazm
Taaqub apne ham-zad ka
Perwaiz Shaharyar