watan ke dard nihan ki dawa sudeshi hai
gharib qaum ki hajat-rawa sudeshi hai
tamam dahr ki ruh-e-rawan hai ye tahrik
sharik husn-e-amal ja-ba-ja sudeshi hai
qarar-e-KHatir-e-ashufta hai faza us ki
nishan-e-manzil-e-sidq-o-safa sudeshi hai
watan se jin ko mohabbat nahin wo kya jaanen
ki chiz kaun bideshi hai kya sudeshi hai
usi ke saya mein pata hai parwarish iqbaal
misal-e-saya-e-baal-e-huma sudeshi hai
usi ne KHak ko sona bana diya aksar
jahan mein gar hai koi kimiya sudeshi hai
fana ke hath mein hai jaan-e-na-tawan-e-watan
baqa jo chaho to raaz-e-baqa sudeshi hai
ho apne mulk ki chizon se kyun hamein nafrat
har ek qaum ka jab muddaa sudeshi hai
Nazm
Swa-deshi tahrik
Tilok Chand Mahroom