ek sura-e-fatiha
un logon ke liye
jo kisi ek zaban mein
mohabbat ki nazm nahin likh sake
aur ek un logon ke liye
jo kisi dusri zaban mein
diwar par likhe hue nare na paDh sake
un logon ke liye
ek sura-e-fatiha
jo ajnabi zaban mein
zindagi ki bhik na mang sake
jo ek nai zaban mein sach ka matlab
aur aazadi ka mafhum na samajh sake
jo kisi ek zaban mein mohabbat ki nazm
aur kisi dusri zaban mein
diwar par likhe hue nare na paDh sake
aur jo apne darwaze ke samne
apne doston ke liye khile hue phul na toD sake
aur jo hawa mein apne dushmanon ki taraf
ek patthar bhi na uchhaal sake
aur un sab ke liye
jo kisi ki yaad mein apni aankhon ka ruKH
kisi ke dil ki taraf na kar sake
aur un sab ke liye bhi
jin ka ruKH apni banduqon ki taraf
aur un ki banduqon ka ruKH
un ke hatheliyon ki taraf hai
Nazm
Sura-e-fatiha
Zeeshan Sahil