اردو हिंदी
Sukhi Tahni par hariyal | Shaahi Shayari
sukhi Tahni par hariyal

Nazm

Sukhi Tahni par hariyal

Ambar Bahraichi

;

ham-chashmon ke ghol magan hain shaKHon par
KHush-raftar hawaen pankhe jhalti hain

gular ke kachche phal bhi har jaanib hain
miThe pani wali jhil hai pahlu mein

mausam ki shatranji chaalen anqa hain
koi shikari bhi is samt nahin aata

hare-bhare jangal ki mushfiq banhon mein
raat gae jaane kya barsa hai dil par

alag-thalag bargad ki sukhi Tahni par
hariyal pankh bichhae gum-sum baiTha hai