اردو हिंदी
Sukhe honT | Shaahi Shayari
sukhe honT

Nazm

Sukhe honT

Irshad Kamil

;

sukhe honT jab pyas ki zaban mein baat karte hain
to ummid ki shaKH par aati hai pahli patti

hota hai
pahli bar mohabbat sunne jaisa ehsas

sukhe hue honT
muskurahaT mein baadal ki tarah phaT jate hain

tahas-nahas ho jata hai lafzon ka shahr
nahin sunai deti jism ki pukar

apna sa koi
phail jata hai aasman se zamin tak

chhune ki KHwahish os ban jati hai
milne ki KHwahish dhup

ehsas ke dariya mein bahta rahta hai insan
sukhe honTon ke sath bhi

zindagi ko tar karta hua