اردو हिंदी
Sui | Shaahi Shayari
sui

Nazm

Sui

Zeeshan Sahil

;

main tumhein
us nazm se banaunga

jo main ne
ajaib-ghar ki siDhiyon par

baiTh kar likhi hai
us udasi se banaunga

jo meri nazm
aur aankhon mein maujud hai

main tumhein
us KHwab se banaunga

jo meri raat se bahar nahin aata
aur us dil se banaunga

jis mein tumhaari yaad
ek sui ki tarah aTki hui hai

main tumhein banaunga
is udasi ki tarah

is nazm ki tarah
chamakti hui aur nok-dar

is sui ki tarah