اردو हिंदी
Surud-e-shabana | Shaahi Shayari
surud-e-shabana

Nazm

Surud-e-shabana

Faiz Ahmad Faiz

;

gham hai ek kaif mein fazae-hayat
KHamushi sajda-e-niyaz mein hai

husn-e-masum KHwab-e-naz mein hai
ai ki tu rang-o-bu ka tufan hai

ai ki tu jalwa-gar bahaar mein hai
zindagi tere iKHtiyar mein hai

phul lakhon baras nahin rahte
do ghaDi aur hai bahaar-e-shabab

aa ki kuchh dil ki sun suna len hum
aa mohabbat ke git ga len hum

meri tanhaiyon pe sham rahe?
hasrat-e-did na-tamam rahe?

dil mein betab hai sada-e-hayat
aankh gauhar nisar karti hai

aasman par udas hain tare
chandni intizar karti hai

aa ki thoDa sa pyar kar len hum
zindagi zar-nigar kar len hum