dard ki lazzat se na-waqif KHushbu se manus na tha
mere ghar ki miTTi se wo shaKHs bahut begana tha
tare chunte chunte jis ne phul nazar-andaz kiye
KHwab kise malum nahin hain lams kise mahbub nahin
lekin jo tabir na jaane us ko ungh bhi lena aib
raat ki qimat hijr mein samjhi jis ne aansu nur bane
zaKHm se uThne wali Tisen os ki ThanDak piti hain
aaj na puchho dukhne lagi hai surme se kyun us ki aankh
jis ko sunahre din ka suraj kirnen banTne aata tha
patthar aaKHir patthar hoga surma ho ya tara ho
Nazm
Surma ho ya tara
Ali Akbar Natiq