tum samajhte ho ye shab aap hi Dhal jaegi
KHud hi ubhrega nai subh ka zarrin parcham
main samajhta hun kisi subh-e-daraKHshan ke ewaz
qahr ki ek nai raat ko degi ye janam
aur us raat ki tariki mein kho jaenge
maktab o KHanqah o dair o kalisa o haram
dew-e-zulmat ki Thokar se na paenge panah
ye shiwale, ye masajid, ye pujari, ye sanam
rakh diye jaenge shamshir ke zer-e-saya
dast-e-matam lab-e-fariyaad, zaban o tanqid
barf jam jaegi afkar ke gulzaron par
yaKH hawaon mein hi jam jaegi kisht-e-ummid
chandni zulmat-e-sayyal mein Dhal jaegi
raat ki mang sanwaregi shua-e-ummid
ahl-e-fan denge andheron ko ujalon ka laqab
zahr ko qand, moharram ko kaha jaega id
ye mera wahm nahin, nowel o afsana nahin
dosto! ghaur karo, aur nigahen to uThao
wo jo ek surKH sitara hai ufuq ke nazdik
kuchh tumhein ilm hai kis ruKH pe hai us ka phailao
kash tum us ki haqiqat pe nazar Dal sako
hai ye ek aatish-e-sad-barq-badaman ka alaw
is ki kirnon mein hai chalti hui talwar ki kaT
is ki surKHi mein hai umDe hue dariya ka bahaw
is ke daman mein hai aasuda wo fitna jis se
jism to jism mayassar nahin ruhon ko aman
dil, nazar, zehn, KHayalat, usul o aqdar
sab ke sab is ki tag-o-taz se larzan tarsan
is ki parchhain bhi paD jae to sabza jal jae
dekhte dekhte mahaul pe chha jae dhuan
is ke shoalon ka to kya zikr ki shoale Thahre
is ki shabnam bhi gulistan ke liye barq-e-tapan
Nazm
SurKH sitara
Amir Usmani