tere pahlu mein barf ka TukDa
jaane pighlega kaun si rut mein
ab to pairahan-e-himala bhi
misl-e-daman-numa-e-qais hua
baal khulne lage hain shisham ke
budh ki surat jumud ki rut mein
be-niyaz-e-libas-e-taKHmina
the gyani jo wo safede bhi
hain sar-e-rah mahw-e-bos-o-kanar
apni KHush-qamati pe itraati
pahanne wali hain khajuren bhi
surKH phande sunahri malaen
Nazm
SurKH phande sunahri malaen
Tanveer Monis