اردو हिंदी
SurKH anaron ke mausam mein | Shaahi Shayari
surKH anaron ke mausam mein

Nazm

SurKH anaron ke mausam mein

Sarmad Sahbai

;

surKH anaron ke mausam mein
resham ke malbus se phuTa

uryani ki dhup ka jharna
aaine mein

gardan ke gul-dan se nikla
phul sa chehra

aahista se
gundhe hue baalon ki Dali

gir ke ghaT pe jhuk jati hai
ek lamhe ko har shai jaise ruk jati hai

palak jhapakte aaine mein
ek KHuni Dain ka aks ubhar aata hai

chhat par ek fanus ki muTThi
aahista se khul jati hai

jaise chil ke par khulte hain
KHushbu rang hawa aur sae

us lamhe pathra jate hain
aankhon ki shishi mein kaisi zumron ka tezab bhara hai

qatra qatra
is tezab ki lafzon mein taqtir hui hai

dekhte dekhte
aas ki surat

meri hi taswiri hui hai