atraf mein apne jo phaili raushni mahsus karti hun
to lagta hai
ki jaise tum kahin par ho
yahin par ho
ye mera KHwab mat samjho
kaho to sach kahun main
waqai lagta hai jaise tum kahin par ho
yahin par ho
kisi chaukhaT pe chaDhti ek lachakti shaKH par
phulon ke jhurmuT mein nihan
phulon se baDh kar ho
baDha kar hath koi jis ko chhu lene ka KHugar ho
tilism rang se ek chheD si pahron raha karti hai
kuchh aise
ki sab kuchh bhul jati hun
achanak KHwab se mein jagti hun
aur muD kar dekhti hun
ek sannaTe ka aalam hai
khule maidan mein sakit khaDi hun main
Nazm
Suno
Sufia Anjum Taj