suno hamdam main rasta bhul baiThi hun
udasi ka ghana jangal
mere ehsas pe tarikiyon ke an-ginat sae bichhata hai
mujhe aaseb ki surat Daraata hai
hawa ki chiKH meri nind ko aise nigalti hai
ki jaise aag sukhi lakDiyon ko rakh karti hai
jahan main panw rakhti hun
wahan par waswason ke nag phan phailae baiThe hain
main jitne zor se aawaz deti hun
meri KHamoshiyan apne tasalsul mein mujhe aane nahin detin
meri aawaz ghuT jati hai andar hi kahin par Dub jati hai
suno hamdam
main tanha hun
kabhi aao pakaD kar hath le jao
mujhe tarikiyon ki raat se raushan dinon tak sath le jao
Nazm
Suno hamdam
Naz Butt