chup kyun ho jate ho mujhe dekh kar
sunao mujhe bhi
ek latifa
meri sinf ke bare mein
meri sinf ke bare mein
tumhaari latifon ki zambil
umr o ayyar ki zambil jaisi hai
nikalo koi naya ya sadiyon purana latifa
mahfuz karo mujhe
jaise tum karte ho ek dusre ko
medical college mein murda jismon ki chir phaD karte hue
stock exchange mein karobar karte hue
ya KHatun siyasatdanon ke baalon ke andaz ka tajziya karte hue
chup kyun ho jate ho mujhe dekh kar
sunao mujhe bhi
ek latifa
taki main hansun
aur taraqqi kar sakun tumhaari duniya mein
phir bana sakun
tumhaare bare mein
latifon ki zambil
umr o ayyar ki zambil ki tarah
aur sunaya karun unhen
sirf apni sinf ke girohon mein
aur chup ho jaya karun
jab ghalati se tum daKHil ho jao
medical college mein
stock exchange mein
hamari parleman mein
Nazm
Sunao mujhe bhi ek latifa
Tanveer Anjum