KHamosh rahna, kabhi sar hila ke sun lena
hawa mein chand banana, bana ke chun lena
ajib daur tha chaaron taraf udasi thi
zamin apni hi tanhaiyon ki pyasi thi
kabhi sharab kabhi shaeri kabhi mahfil
phir is ke baad dhaDakta hua akela dil
KHud apne ghar mein hi ghar se alag-thalag rahna
kitab-e-jaan ke liye raat bhar ghazal kahna
ye aur baat baDe hausle ka shaer tha
main apni nind ka ruTha hua musafir tha
Nazm
Suna yahi hai
Javed Nasir