suna hai main ne!
kai din se tum pareshan ho
kisi KHayal mein
har waqt khoi rahti ho
gali mein jati ho
jate hi lauT aati ho
kahin ki chiz
kahin rakh ke bhul jati ho
kitchen mein!
roz koi pyali toD deti ho
masala pis kar
sil yunhi chhoD deti ho
nasihaton se KHafa
mashwaron se uljhan si
kamar mein dard ki lahren
ragon mein ainThan si
yaqin jaano!
bahut dur bhi nahin wo ghaDi
har ek fasane ka unwan badal chuka hoga
mere palang ki chauDai
ghaT chuki hogi
tumhaare jism ka suraj pighal chuka hoga
Nazm
Suna hai maine
Nida Fazli