KHamoshi se dabe panw
bhari mahfil se uThte ho
khule aakash ke niche kahin par baiTh jate ho
phir apna hath haule se baDhate ho
chamakte chand ki jaanib
kabhi to muskuraate ho kabhi kuchh gungunate ho
jo 'mir'-o-'dard' ki ghazlen kabhi hum ko sunate the
wahi sargoshiyan mujh se jo aksar karte rahte the
hawa ke dosh par baiThi kiran se karne lagte ho
suna hai be-qarari mein
Tahalte ho kabhi chhat par
kabhi har aks mein mera sarapa DhunDhte ho tum
hawaon mein meri KHushbu kabhi mahsus karte ho
kabhi be aas ho kar phir zamin par baiTh jate ho
bahut fariyaad karte ho
mujhe hi yaad karte ho
magar ye sari baaten to mahz KHwabon ki baaten hain
khuli jab aankh meri to nazara aur hi dekha
koi paigham aaya tha
hamare nam aaya tha
likha tha us mein dekho na
ki ab ki chand jo nikla
use nazdik se dekha
use mahsus kar paya
mukammal pa liya us ko jo shah-rag mein machalta tha
mubarakbaad to de do wo mera ho gaya ab ki
suna hai chandni-raaton mein tum bhi so nahin pati
tu ab ki chain se sona ki ab main bhi nahin jagta
Nazm
Suna hai chandni-raaton mein aksar tum
Asra Rizvi