main jab bhi sochta hun apne bare mein
koi quwwat mujhe mere muKHalif khinchti hai
mujhe mahsus hota hai
mera har uzw
markaz se baghawat kar chuka hai
KHun ke dauran ke ham-rah
baktar-band gaDi mein
musallah faujiyon ke sath
koi qaid ho kar ja raha hai
khul gae hain sab masham-e-jaan ke phaTak
khaDi hain sar jhukae saf-ba-saf
haare hue alfaz ki faujen
koi is shahr ki tahzib le kar ja raha hai
Nazm
Sukut
Farhat Ehsas