اردو हिंदी
Sukun | Shaahi Shayari
sukun

Nazm

Sukun

Akhtar-ul-Iman

;

na zahr-e-KHand labon par, na aankh mein aansu
na zaKHm-ha-e-darun ko hai justuju-e-maal

na tirgi ka talatum, na sail-e-rang-o-nur
na KHar-zar-e-tamanna mein gumrahi ka KHayal

na aatish-e-gul-e-lala ka dagh sine mein
na shorish-e-gham-e-pinhan na aarzu-e-visal

na ishtiyaq, na hairat, na iztirab, na sog
sukut-e-sham mein khoi hui kahani ka

tawil raat ki tanhaiyan nahin be-rang
abhi hua nahin shayad lahu jawani ka

hayat o maut ki had mein hain walwale chup-chap
guzar rahe hain dabe panw qafile chup-chap