ai nukta-waran-e-suKHan-ara-o-suKHan-sanj
ai naghma-giran-e-chamnistan-e-mafi
mana ki dil-afroz hai afsana-e-azra
mana ki dil-awez hai salma ki kahani
mana ki agar chheD hasinon se chali jae
kaT jaega is mashghale mein ahd-e-jawani
garmaega ye hamhama afsurda dilon ko
baDh jaegi dariya-e-tabiat ki rawani
mana ki hain aap apne zamane ke 'naziri'
mana ki har ek aap mein hai urfi-e-sani
mana ki hadis-e-KHat-o-ruKHsar ke aage
bekar hai mashshaiyon ki falsafa-dani
mana ki yahi zulf o KHat-o-KHal ki rudad
hai maya-e-gul-kari-e-aiwan-e-maafi
lekin kabhi is baat ko bhi aap ne socha
ye aap ki taqwim hai sadiyon ki purani
mashuq nae bazm nai rang naya hai
paida nae KHame hue hain aur nae 'mani'
mizhgan ki sinan ke ewaz ab sunti hai mahfil
kanTon ki katha barhana-pai ki zabani
lazzat wo kahan lal-e-lab-e-yar mein hai aaj
jo de rahi hai peT ke bhukon ki kahani
badla hai zamana to badliye rawish apni
jo qaum hai bedar ye hai us ki nishani
ai ham-nafaso yaad rahe KHub ye tum ko
basti nai mashriq mein hamin ko hai basani
Nazm
SuKHanwaran-e-ahd se KHitab
Zafar Ali Khan