dawa se kuchh na hua aur dua se kuchh na mila
bashar ne kuchh na diya aur KHuda se kuchh na mila
zawal mera muqaddar bana ke chhoD diya
mujhe KHyal-o-hadis-e-baqa se kuchh na mila
main dard-o-dagh-e-yatimi mein yun raha mahsur
pidar se kuchh na mila mamta se kuchh na mila
jahan-e-ilm-o-hunar mein to sarfaraaz raha
dayar-e-shauq mein meri wafa se kuchh na mila
main apne aap mein jhanka to ye sada aai
KHudi se kuchh na mila aur ana se kuchh na mila
kisi ne dida-e-bina ki raushni le li
kahun main kis se teri is ada se kuchh na mila
main KHali hath chala aa raha hun teri taraf
tujhe batane ki teri ata se kuchh na mila
tere jahan se KHamosh chal diya 'masud'
nawa-e-sher ko is be-nawa se kuchh na mila
Nazm
SuKHan-e-wapsin
Masud Husain Khan