KHabar din ke aane ki main la rahi hun
ujala zamane mein phaila rahi hun
bahaar apni mashriq se dikhla rahi hun
pukare gale saf chilla rahi hun
uTho sone walo ki main aa rahi hun
main sab kar-behwar ke sath aai
main raftar o guftar ke sath aai
main bajon ki jhankar ke sath aai
main chiDiyon ki chahkar ke sath aai
uTho sone walo ki main aa rahi hun
azan par azan murgh dene laga
KHushi se har ek jaanwar bolta hai
daraKHton ke upar ajab chahchaha hai
suhana hai waqt aur ThanDi hawa hai
uTho sone walo ki main aa rahi hun
ye chiDiyan jo peDon pe hain ghul machati
udhar se udhar uD ke hain aati jati
damon ko hilati paron ko phulati
meri aamad aamad ke hain git gati
uTho sone walo ki main aa rahi hun
jo tote ne baghon mein Ten Ten machai
to bulbul bhi gulshan mein hai chahchahai
aur unchi munDeron pe shama bhi gai
main sau sau tarah de rahi hun duhai
uTho sone walo ki main aa rahi hun
har ek bagh ko main ne mahka diya hai
nasim aur saba ko bhi lahka diya hai
chaman surKH phulon se dahka diya hai
magar nind ne tum ko bahka diya hai
uTho sone walo ki main aa rahi hun
hui mujh se raunaq pahaD aur ban mein
har ek mulk mein des mein har watan mein
khilati hui phul aai chaman mein
bujhati chali shama ko anjuman mein
uTho sone walo ki main aa rahi hun
jo is waqt jangal mein buTi jaDi hai
so wo nau-lakha haar pahne khaDi hai
ki pichhle ki ThanDak se shabnam paDi hai
ajab ye saman hai ajab ye ghaDi hai
uTho sone walo ki main aa rahi hun
hiran chaunk uThe chaukDi bhar rahe hain
kilolen hare khet mein kar rahe hain
nadi ke kinare khaDe char hain
gharaz mere jalwe pe sab mar rahe hain
uTho sone walo ki main aa rahi hun
mein taron ki chhan aan pahunchi yahan tak
zamin se hai jalwa mera aasman tak
mujhe paoge dekhte ho jahan tak
karoge bhala kahili tum kahan tak
uTho sone walo ki main aa rahi hun
pujari ko mandir ke main ne jagaya
muazzin ko masjid ke main ne uThaya
bhaTakte musafir ko rasta bataya
andhera ghaTaya ujala baDhaya
uTho sone walo ki main aa rahi hun
lade qafilon ke bhi manzil mein Dere
kisanon ke hal chal paDe munh-andhere
chale jal kandhe pe le kar machhere
daladdar hue dur aae se mere
uTho sone walo ki main aa rahi hun
bigul aur tanbur sankh aur naubat
bajaane lage apni apni sabhi gat
chali top bhi din se hazrat salamat
nahin KHwab-e-ghaflat nahin KHwab-e-ghaflat
uTho sone walo ki main aa rahi hun
lo hoshyar ho jao aur aankh kholo
na lo karwaTen aur na bistar TaTolo
KHuda ko karo yaad aur munh se bolo
bas ab KHair se uTh ke munh hath dho lo
uTho sone walo ki main aa rahi hun
baDi dhum se aai meri sawari
jahan mein hua ab mera hukm jari
sitare chhupe raat andheri sidhaari
dikhai diye bagh aur khet kyari
uTho sone walo ki main aa rahi hun
Nazm
Subh ki aamad
Ismail Merathi