اردو हिंदी
Subh ke do manzar | Shaahi Shayari
subh ke do manzar

Nazm

Subh ke do manzar

Azra Naqvi

;

motiya se khile hue bachche
pak masum narm chehron par

subh ki tazgi ka nur liye
lal pile sajile baston mein

apni maon ka pyar bap ke KHwab
roz school le ke jate hain

subh hoti hai phenk deta hai
zard maila thaka thaka suraj

pak masum narm chehron par
rozi roTi ki ehtiyaj ki dhul

subh hoti hai kachchi basti mein
roz ki tarah jag uThte hain

nanhe mazdur bhole saudagar
phul se hathon wale kari-gar

kar-KHanon mein shah-rahon par
tang galiyon mein chae-KHanon mein apni qismat jagane jate hain