اردو हिंदी
Subh ka tassur | Shaahi Shayari
subh ka tassur

Nazm

Subh ka tassur

Niyaz Haidar

;

sawere
sair ko jate hue mere taaqub mein

parindon ki chahak
baad-e-sahar-gahi ke halkore

KHumar o KHwab ki sari thakan main bhul jata hun
KHiram-e-kaif-awar

tal KHush-raftar qadmon ki
rawan rakhti hai ek anjaan manzil ki taraf mujh ko

suhane waqt ki wo surmai dhundli faza
jis mein ghane ashjar

shaKH o barg
raqs aaghaz karte hain

daraKHton ke zamurrad rang-e-pairahan ki halchal par
shafaq apna tabassum jab nichhawar karne aati hai

ruKH giti pe sharmai hui si tazgi jis dam
nazar mein qatra-e-shabnam ki surat jhilmilati hai

KHayal aata hai tab mujh ko
ki is duniya ki jannat mein

falakat aur ghurbat ke jahannam kyun dahakte hain
ye husn-e-arz ke

tazin o aaraish ke shaidai
gham-o-andoh ke ghaaron mein nafrat ke shikanjon mein

ba-nam-e-zindagi kyunki ajal ki rah takte hain
bhayanak raat chha jati hai phir mere taKHayyul par

to meri zehn ke mashriq se ek suraj ubharta hai
shuaon mein payam-e-johd ki tabindagi le kar

tamazat se yaqin o azm ko mamur karta hai
sahar na-ashna dil gum na kar jati hai tariki

umidon aarzuon ki KHabar lati hai tariki
KHumar o KHwab ki sari thakan main bhul jata hun