ye jo ek nur ki halki si kiran phuTi hai
kaun kahta hai ise subh-e-daraKHshan ai dost
mujh ko ehsas hai baqi hai shab-e-tar bhi
lekin ai dost mujhe raqs to kar lene de
kam se kam nur ne ulTa to hai ek bar naqab
ek lamhe ko to TuTa hai tilism-e-shab-e-tar
is se sabit to hua subh bhi ho sakti hai
parda-e-zulmat-e-shab chaak bhi ho sakta hai
subh-e-kazib bhi to hai asl mein dibacha-e-subh
subh-e-kazib bhi to hai subh-e-daraKHshan ki nawed
ek elan ki hangam-e-wida-e-shab hai
qafila nur-e-sahar ka hai bahut hi nazdik
jald hone ko hai KHurshid-e-daraKHshan ki numud
Nazm
Subh-e-kazib
Gopal Mittal