ab dhundli paDti jati hai tariki-e-shab main jata hun
wo subh ka tara ubhra wo pau phuTi ab main jata hun
jata hun ijazat jaane do wo dekho ujale chhane ko hain
suraj ki sunahri kirnon ke KHamosh bulawe aane ko hain
wo phulon ke gajre jo tum kal sham piro kar lai thin
wo kaliyan jin se tum ne ye rangin sijen mahkai thin
dekho in basi kaliyon ki patti patti murjhai hai
wo raat suhani bit chuki aa pahunchi subh-e-judai hai
ab mujh ko yahan se jaana hai pur-shauq nigaho mat roko
o mere gale mein laTki hui lachkili baho mat roko
in uljhi uljhi zulfon mein dil apna bisare jata hun
in miThi miThi nazron ki yaadon ke sahaare jata hun
jata hun ijazat wo dekho ghurfe se shuaen jhalki hain
pighle hue sone ki lahren mina-e-shafaq se chhalki hain
kheton mein kisi charwahe ne bansi ki tan uDai hai
ek ek rasili sur jis ki paigham safar ka lai hai
majbur hun main jaana jo hua dil mane na mane jata hun
duniya ki andheri ghaTi mein ab Thokaren khane jata hun
Nazm
Subh-e-judai
Majeed Amjad