tu chali ja ki mujhe teri zarurat bhi nahin
main shab-o-roz ki miTTi se dobara bhi janam le lunga
main jo zindon mein hun zindon mein nahin
main parindon mein darindon mein nahin
faqat insanon mein maujud hai saya mera
muddaten bit gai hain magar anjam na aaya mera
main sipahi to nahin phir bhi laDi hain kai jangen main ne
pahli hi jang thi wo jis mein kaTe hath mere
dusri jang mein bazu bhi gae
tisri jang mein phuTi meri donon aankhen
aur phir jang pe jang
ab mere jism ka hissa nahin aisa koi
jis mein zaKHmon ke nishan raat se kam gahre hon
aaKHiri zaKHm lagaya tu ne
tu ne KHamoshi ki shamshir se mara mujh ko
ab janam lena hai duniya mein dobara mujh ko
phir nae hath nae bazu nai aankh lagani hai mujhe
phir masihai dikhani hai mujhe
phir nai jang ki karni hai mujhe tayyari
aankh ko phoDna hai DhunDni hai bedari
tu mujhe mar ke KHush thi ki main mar jaunga
sukhi miTTi ki tarah KHud hi bikhar jaunga
magar ai meri aziyyat ki amin
main tere KHun mein maujud rahunga har waqt
surKH zarron ki tarah jin mein hawa hoti hai
zinda rahne ki ada hoti hai
tu mujhe kaun si talwar se kaTegi bata
ab safar mera teri chalti hui sans ke andar hoga
Nazm
Sota jagta saya
Shahzad Ahmad