mujhe nowember ki dhup ki tarah mat chaho
ki is mein Dubo to tamazat mein naha jao
aur is se alag ho to
ThanDak ko por por mein utarta dekho
mujhe sawan ke baadal ki tarah chaho
ki us ka saya bahut gahra
nas nas mein pyas bujhane wala
magar us ka wajud pal mein hawa
pal mein pani ka Dher
mujhe sham ki shafaq ki tarah mat chaho
ki aasman ke qurmuzi rangon ki tarah
mere gal surKH
magar lamha-bhar baad
hijr mein naha kar, raat si maili maili
mujhe chalti hawa ki tarah mat chaho
ki jis ke qayam se dam ghuTta hai
aur jis ki tez-rawi qadam ukheD deti hai
mujhe Thahre pani ki tarah mat chaho
ki main is mein kanwal ban ke nahin rah sakti hun
mujhe bas itna chaho
ki mujh mein chahe jaane ki KHwahish jag uThe!
Nazm
Sone se pahle ek KHayal
Kishwar Naheed