gungi hoti hui KHamoshi
sannaTe ki dahliz pakaD kar
jaane kab tak jami rahegi
main wo lafz hi bhul aai hun
raste mein hi gira aai hun
jo tum se milne aae the
jaante ho tum
lafz meri dhaDkan the us pal
sine mein ek hashr bapa tha
surKHi ka pairahan oDhe
mere sajile lafz wo sare
sapnon ke rangin mahal mein
rahne ko be-tab bahut the
tum shayad kuchh kah do un se
ek masum si KHwahish le kar
pas tumhaare aa baiThe the
lekin
tum ne jaan hi le li un ki
jite-jagte lafz wo sare
zard paDe bas takte rah gae
aur phir is par
sard barf sa lahja tumhaara
lafz to jaise marne lage the
dil ki dhaDkan ruk si gai thi
sard paDti wo lashen un ki
jis pal main ne sameTi thin
viran hote sine mein
un ki qabren khodi thin
aur unhen dafnaya tha
jis sine mein hashr bapa tha
ab sannaTe gunjte hain
main chup le kar aai hun
rose larazte hathon se
ashkon mein ek bhigi hui
chadar un pe chaDhati hun
soch rahi hun
gungi hoti hui KHamoshi
sannaTe ki dahliz pakaD kar
jaane kab tak jami rahegi
Nazm
Soch rahi hun
Maimoona Abbas Khan