jism ka jas rup ka ras kaam ka kas
zindagi ki ye suhani dhup bahlati rahi hai mere man ko
KHub garmati rahi hai aarzuon ki pawan ko
aur chamkati rahi hai apne-pan ko
de ke ek nashsha nayan ko
lazzaton mein Dub kar bhi
main ubharta hi raha hun
soch ki be-tab lahren zehn mein raqsan rahi hain
lekin ab to ek udasi chha gai hai
soch ki sham aa gai hai
zindagi ghabra gai hai
Nazm
Soch ki sham
Krishna Mohan