meri dahliz ka patthar hai
tum chaho to le jao use
sab patthar ek se hote hain
kal bhi
ek bachcha aaya tha
sahma
sahma
main ne us se
ye baat kahi
tum chaho to le jao use
sab patthar ek se hote hain
bachcha ek-dam bol paDa
kuchh patthar hire hote hain
main
aql-o-KHirad ka shaidai
main ne jab is par ghaur kiya
aur aankh khuli
mere samne but tha patthar ka
patthar ka ye but
mandir ka KHuda
kabe ka sanam
mazdur ka fan
main kya samjhun main kya jaanun
hira ki sanam
patthar ki KHuda
Nazm
Soch ka dhaara
Hasan Aabid