اردو हिंदी
So ab bhi hai | Shaahi Shayari
so ab bhi hai

Nazm

So ab bhi hai

Nazar Barni

;

wahi begam ki KHun-KHwari jo pahle thi so ab bhi hai
wahi derina bimari jo pahle thi so ab bhi hai

wahi Tar-Tar wahi KHafgi wahi ghamze wahi ishwe
wahi tanon ki bimari jo pahle thi so ab bhi hai

buDhape mein bhi in ko shauq hain ahd-e-jawani ke
lipstick ki KHaridari jo pahle thi so ab bhi hai

wahi hai ruThna in ka wahi maike ki hai dhamki
wahi zillat wahi KHwari jo pahle thi so ab bhi hai

kabhi hai sas ka rona kabhi nandon se hai jhagDa
zaban hai in ki do-dhaari jo pahle thi so ab bhi hai

faqat apne hi maike ki kiya karti hain tarifen
meri aman se be-zari jo pahle thi so ab bhi hai

adab ka doctor ban kar mila kya hum gharibon ko
gharibi aur bekari jo pahle thi so ab bhi hai

hui shadi hue bachche 'nazar' ka haal hai patla
wahi ab bhi hai lachaari jo pahle thi so ab bhi hai