muslim se tanaffur aur kuffar se yarana
aaKHir ye qala-bazi kyun kha gae maulana
laxmi ki mohabbat ne dil moh liya itna
munh moD ke kabe se pahunche su-e-but-KHana
islam tajjub se angusht ba-dandan hai
marghaT mein jale shama tauhid ka parwana
thaali mein siyasat ki bengan ki tarah lunDhke
aur is ko samajhte hain ek chaal harifana
public ke phansane ko sab jal ke phande the
ye desh ye amama aur subha-e-sad-dana
Nazm
Siyasi bengan
Zareef Lakhnavi