اردو हिंदी
Siyah paTTi | Shaahi Shayari
siyah paTTi

Nazm

Siyah paTTi

Zubair Rizvi

;

hum abhi kuchh der pahle sath the
shahr sara yun laga tha

jaise apne hi taaqub mein
kiran suraj ki thame chal raha hai

us ki aankhen ban ke patthar uTh rahi thin
qurb ke aaine chhan se TuT kar reza hue the

honT apne sil gae the
jism apne jal gae the

hum bichhaD ke na-muradon ki tarah
wapas hue to

shahr sara ajnabi sa ho gaya hai
us ki aankhon par siyah paTTi bandhi hai