اردو हिंदी
Sitare | Shaahi Shayari
sitare

Nazm

Sitare

Noon Meem Rashid

;

nikal kar ju-e-naghma KHuld-zar-e-mah-o-anjum se
faza ki wusaton mein hai rawan aahista aahista

ba-su-e-nauha-abaad-e-jahan aahista aahista
nikal kar aa rahi hai ek gulistan-e-tarannum se

sitare apne miThe madh-bhare halke tabassum se
kiye jate hain fitrat ko jawan aahista aahista

sunate hain use ek dastan aahista aahista
dayar-e-zindagi madhosh hai un ke takallum se

yahi aadat hai roz-e-awwalin se un sitaron ki
chamakte hain ki duniya mein masarrat ki hukumat hun

chamakte hain ki insan fikr-e-hasti ko bhula Dale
liye hai ye tamanna har kiran un nur-paron ki

kabhi ye KHak-dan gahwara-e-husn-o-latafat ho
kabhi insan apni gum-shuda jannat ko phir pa le