jism ko KHwahish ki dimak kha rahi hai
nim-wahshi lazzaton ki
TuTti parchhaiyan
aarzu ki aahani diwar se Takra rahi hain
dard ke dariya kinare
ajnabi yaadon ki jal-pariyon ka
mela sa laga hai
an-ginat pighle hue
rangon ki chadar tan gai hai
parbaton ki choTiyon se
reshmi KHushbu ki kirnen phuTti hain
KHwab ki dahliz suni ho gai
dhup ke jangal mein suraj kho gaya hai
baadalon ki maili chadar par
teri aawaz ka
ghail sitara
so gaya hai
Nazm
Sitara so gaya hai
Adil Mansuri