sina-e-KHwab khule
jis tarah pyar mein Dubi hui aankhon pe larazti hui
palkon ka nasha khulta hai
jis tarah band kitabon pe kisi phul ke khulne ka guman khulta hai
jis tarah hath ki poron pe kabhi
pahle pahle se kisi tajurba-e-lams-e-mohabbat ka asar khulta hai
sina-e-KHwab khule
sina-e-KHwab khule aur mein dekhun wo kam-asar jawani ka KHumar
wahi hairat jise main ne faqat ek sans ki Dori
mein piro lene ki KHwahish ki thi
wo tazabzub ki jise kam-sin-o-kam-KHwab' nigahon ke bharose ne
gulab aur chameli ki mahak baKHshi thi
murtaish honTon pe mauhum tabassum ka wo ehsas jise
harf-o-awaz baghair
kaba-e-dil ne tere chehra-e-gulfam pe mabus kiya
aur phir meri nigahon ki taraf
tere aaghaz ko bedar kiya
ai suKHan-saz nigahon wale
waqt ne umr-e-guzishta ke kai bab likhe
aur har bab ki dahliz kisi KHwab-e-muqaffal ki tarah gum-sum hai
koi dastak koi aawaz koi harf-e-saba
koi tadbir ki is lamha-e-maujud ke mar jaane se pahle pahle
kash is KHwab-e-muqaffal ka bhi sina khul jae
aur main dekh sakun
tere mauhum tabassum ki kahani ka hawala kya tha
aur ab mujh se gunahgar-e-mohabbat ki tabahi ka izala kya hai
Nazm
Sina-e-KHwab khule
Ayub Khawar