tumhaari babat main sochta hun
to aisa lagta hai lafz sare
badan-darida o sar-burida
bayan-o-izhaar ke sahaare
ye lafz sare
mere taKHayyul ki bargah-e-suKHan mein jaise
qatar-andar-qatar mahjub
pa-pyaada khaDe hue hain
tumhein jo sochun to lafz sochun
jo lafz sochun to aise paikar ka tarjuman
koi lafz sochun
jo aks-afgan ho ghamza-o-ishwa-o-ada ka
nazir ru-e-nigar-o-talat
KHabir-e-bu-e-bahaar-o-nikhat
jo husn-e-sarmad ka aaina-gar
jo aariz-e-hur ka fusun-gar
jo lafz KHushbu abir-o-ambar
jo lafz sandal shamim-e-muztar
jo lafz farhang-e-KHamoshi ho
jo lafz aahang-e-be-KHudi ho
jo lafz tandid-gar ho aisa
jo KHal-o-KHad ko kamal kah de
tumhein sarapa jamal kah de
jo lafz jadu ho kimiya ho
jo lafz afsun ho simiya ho
jo lafz tujh ko bayan kar de
wo lafz aaKHir koi to hoga
wo lafz aaKHir kahin to hoga
Nazm
Simiya
Salman Ansari