hum ne apne sath ki aaKHiri shab
buDhe peD ki jhini chhatri ke niche
chand ki bhigi bhigi kirnon ke sath bitai thi
main ne apne ashkon ka ruKH moD diya tha
tum ne palkon se do moti mere kandhe par Tank diye the
aur mathe par kabhi na miTne wali
mohr lagai thi ek gile bose ki
agli shab
us peD ke niche main tanha tha
chhuT gaya tha tum se jo rumal wahan par le aaya tha
barson baad isi shab ka
jaani-pahchani KHushbu wali bhiga-pan
nazmon ki ek bhuli hui si copy mein
silan ban kar ubhra hai

Nazm
Silan
Subodh Lal Saqi